‘Jo khyal thy na Qyaas thy Wohi Log Hum Se Bichar Gaye,

Meri Zindagi ki Jo Aas thy Wohi Log Hum se Bichar Gaye,

Jinhen manta hi Nahi Ye dil Wohi log Hain Mere Hum safar,

Mujhe Har tarha Se Jo Raas thy Wohi Log Hum se Bichar Gaye,

Mujhe Lamha Bhar ki Rafaqton k Azaab aur Stayen Gey,

Meri Umar Bhar ki Jo Piyaas Thy wohi Log Hum se Bichar Gaye,

Ye khyal sare hain Aarzi, Ye gulab sare hain kaghzi,

Gul-e-Aarzo ki jo baas thy wohi log Hum se Bichar Gaye,

Jinhen kar na saka Qabool main, Wo shareek Rah-e-Safar Hue,

Jo Meri talab Meri Aas thy Wohi log Hum se bichar Gaye,

Ye Raat din mere saath hain, wohi ajnabi K hain Ajnabi,

Wo jo dharknon ki Asaas thy wohi log Hum se Bichar Gaye.’