Jo adhori reh gai thi wo kahani sochna..

Baith kar tanha faqat batain purani sochna…

Jab kisi sahil pe aa jae mari yaad tumhain..

Kyun jazeeron ki taraf behta hai pani sochna…

Jab kabhi likhna kahani ”zeest” ki, mojon pe tum..

Kyun badal jate hain lafzon k maani sochna…!