jaisaa huuN vaisaa kyuuN huuN samjhaa saktaa thaa maiN

tumne puuchhaa to hotaa, batlaa saktaa thaa maiN

aasuudaa rahne kii Khwaahish maar gaii varnaa

aage aur bohat aage tak jaa saktaa thaa maiN

chhoTii moTii ek lahar hii thii mere andar

ek lahar se kyaa tuufaan uThaa saktaa thaa maiN

kahiiN kahiiN se kuchh misre, ek aadh Gazal, kuchh sher

is puunjii par kitnaa shor machaa saktaa thaa maiN

jaise sab likhte rahte haiN GazleN, nazmeN, geet

vaise likh likh kar ambaar lagaa saktaa thaa maiN