jab se us ne shahar ko chora har rasta sunsan hua

apna kya hai sare shahar ka ik jaisa nuksan hua

mere hal pe hairat kaisi dard k tanha mausam main

pathar bhi ro parte hain insan to phir insan hua

us k zakhm chupa kar rakhiye khud us shakhs ki nazron se

us se kaisa shikawa kije wo to abhi nadan hua

yun bhi kam amez tha “Mohsin” wo is shahar k logon main

lekin mere samne akar aur hi kuch anjam hua