Jab kabhi hum apna dard nichodte hai

Behte hai bohat aasoo aur zabt todte hai

Nahi chodti unko sharmindgi yado ki

Rah_e_safar apna jo humsafar chodte hai

Na ban saka unse kuch bhi zamane me

Auro se kiya aksar jo ahad todte hai

Paththar ki zameen par paththar ke samne

Zinda mere shehar ke sar phodte hai

Jab aazmaya humne yeh baat humne jani

Jo todte hai aksar wahi dil ko jodte hai

Rukh hawao se mushkil ek aur bhi hai Ghayel

Hum shayri se apni rukh zamane ka modte hai