jab bhi kaha hay un say keh tum bin udas hain

sherma kar yeh bolay hain dil ko mohar do

pehlay to bat hamari tum mantay hi nahin

us per bhi ye sitam hai keh dalilain hazar do

kab khatm hongi aapki yeh bayniyaziyan

aaker hamari banhon main dil ko qarar do

dil kay chaman main yasiyat chaee char soo

aao gulon ko phir say naya ik nikhar do