Jaanay kaya khuwahish hay us ki

Woh aandhiyon mein diya jala raha ha

Muhktasar si baat nai lagti yeh par

Woh behtay pani mein aag laga raha hay

Koi sunta nai hay phir bhi

Woh apna haal_e_dil suna raha hay

Sahil se lag kar tooti kashti mein bhaita

Woh mujh ko toofanoo se dara raha hay

Chor kar sath khushi ka jatay huwe

Woh kehta ghum usay bula raha hay

Qaid mein tha ik panchi ab tak

Woh khamoshi se us ko urra raha hay

Zamana kaya hay woh mujh ko bata raha hay

Woh har ek raang us ka mujhay dehka raha hay

Is qadar bhi kaya ruhksat karta hay koi

Woh maazi ko daraya mein baha raha hay