jaan kar min-jumla-e-khasaana-e-maikhaana mujhe

muddatoN royaa karenge jaam-o-paimaana mujhe

sabza-o-gul, mauj-e-daryaa, anjum-o-khurshiid-o-maah

ek taalluq sab se hai lekin raqiibaana mujhe

nang-e-maiKhaanaa thaa saaqii ne ye kyaa kar diyaa

piine waale kah uThe ‘yaa pir-e-maikhaana’ mujhe

zindagii meN aa gayaa jab koii waqt-e-imtehaaN

usne dekhaa hai Jigar be-ikhtiyaaraana mujhe