jaahil ko agar jahal ka inaam diyaa jaaye

is haadsa-e-vaqt ko kyaa naam diyaa jaaye

mai-khaane kii tauhiin hai, rindoN kii hatak hai

kamzarf ke haathoN meN agar jaam diyaa jaaye

hai khuu-e-ayaazii hii sazaavaar-e-malaamat

Mahmuud ko kyuuN taana-e-ikraam diyaa jaaye

ham maslahat-e-vaqt ke qaayal nahiiN yaaro

ilzaam jo denaa hai, sar-e-aam diyaa jaaye

behtar hai ki is bazm se uTh aaiye Mohsin

sarqe ko jahaan rutba-e-ilhaam diyaa jaaye