itane chup-chaap ke raaste bhii rahenge laa-ilm

chhoD jaayenge kissi roz nagar shaam ke baad

main ne aisee hii gunaah terii judaa_ii me.n kiye

jaise tuufaan me.n ko_ii chho.D de ghar shaam ke baad

shaam se pahale vo mast apanii u.Daano.n me.n rahaa

jis ke haatho.n me.n the TuuTe hue par shaam ke baad

raat biitii to gine aable aur phir sochaa

kaun thaa baa_is-e-aaGaaz-e-safar shaam ke baad

tuu hai suuraj tujhe maaluum kahaaN raat kaa dukh

tuu kisii roz mere ghar me.n utar shaam ke baad

lauT aaye na kissi roz vo aavaaraa majaaz

khol rakhate hai.n isii aas pe dar shaam ke baad..