ISS BAAT MEIN KOI SHAK TO NAHIN

TAQDEER KA GHAM, QISMAT KA SITAM

HAR HAAL MEI SEHNA PARTA HAI

IK BAAT AGAR HAM SAB SOCHEN

SHIKWA NA GILA HAM KOI KAREN

QISMAT SE LARAEE KARTEY RAHEN

AUR APNEY BAAZOO ‘USE’ KAREN

IK ROZ BADAL JAEY GEE WOH KHUD

JO HAM KO BADALTEE AAEE THEE

‘IQBAL’ KE LIKHEY PAR HAM BHEE

GAR GHAUR KAREN AUR AMAL KAREN

KHUD QISMAT AA KE KAHEY GEE HAMEIN

MAIN HAAR GAEE, MAIN HAAR GAEE

TUM JEET GAEY, TUM JEET GAEY.