Is shehar k logo ki ya aadat purani lagti hai,

Kisi k jazbaton se khelna in ko nadani lagti hai,

Jidher dekho ek gham ka aalam milta hai,

Har diwaane ki dastan kuch apni kahani lagti hai,

Wo kya jane mohabbat ek nemat hay yaro,

Jinko logon ki sirf surat hi suhani lagti hai,

Hain tutey kuch jazbaat kay mehel aesay,

Gulshan ko bhi dekho tou verani lagti hai,

karta hai shayad yaad wo ab bhi humein yaro,

Ye dil ka dharakna is baat ki nishani lagti hai . . . !