is qadar bhii to na jazbaat pe qaabuu rakho

thak gaye ho to mere kaandhe pe baazuu rakho

bhuulne paaye na us dasht ko vahshat-e-dil se

shahar ke biich raho, baaG meN aahuu rakho

Khushk ho jaayegii rote hue sahraa kii tarah

kuchh bachaa kar bhii to is aaNkh meN aaNsuu rakho

roshnii hogii to aa jaayegaa rahrav dil kaa

us kii yaadon ke diye taaq meN har suu rakho

yaad aayegii tumhaarii hii safar meN usko

us ke ruumaal meN ek achchhi sii Khushbuu rakho

ab voh mahbuub nahiiN apnaa magar dost to

usse yah ek t’alluq hii baharsuu rakho