Is chaman ka kiya bigarey ga koi,

Jis pe QASIM jaise farzand rehte hain.

Ankhon main ankhain daal k baat kerna,

Is pe to QAID jaise jurat mand rehte hain.

Hum is dharti k lea likhain gai wo tehreer,

K jis per IQBAL jaise qalam band rehte hain.

Hum baha dain gai is k lea apna sara lahoo,

Jis per HAZRAT ALI jaise no jawan rehte hain.

Hain jis dharti k phool b os per jan nisar,

Is per to MINHAS jaise mohib e watan rehte hain.

Ae dushman moun chupa le apna kisi bill main,

K tere iradon ko torne wale AZIZ BHATTI rehte hain.

K jin ki soe hoe chehro se bhi tum dero gai qasam se,

Is dharti per TIPU SULTAN jaise jan nisar rehte hain….

(¯`v´¯)

`*.¸.*´ Lover

¸.•´¸.•*¨) ¸.•*¨)

(¸.•´ (¸.•´ .•´ ¸¸.•¨¯`•

Prince”