in aNkhoN meN jhaNk ky dekho, dil ki umedeN, dekho to

jism khizaN ko choRo rooH pe chaii bahareN, dekho to

aik na ik din toot gireNgy Zabt qil’ay ky burj faSeel

dastak par dastak deti heN dard ki mojeN, dekho to

Zabt qil’ay ky burj faSeel bardasht ky castle ki dewaren or burj

jesy kisi gard baad meN phaNs kar kaghaz chakkar khata hay

esy hi mjh ko bhi ghumaiN teri yadeN, dekho to

jism yahaN hay lekin aNkheN dekh rahi heN kosoN door

kesy baha kar ly jati heN zehn ko socheN, dekho to

aik saraab ky pechy ham nay sari umr gaNwa di hay

pochty kia ho haSil ka chehry ki lakereN, dekho to

jis rasty ki aas meN Arif sari umerya beet gai

aj wohi rasta chalny sy dil ko rokeN, dekho to