in aaNkhoN se din raat barsaat hogii

agar zindagii sarf-e-jazbaat hogii

musaafir ho tum bhii, musaafar haiN ham bhii

kisii moD par phir mulaaqaat hogii

sadaaoN ko alfaaz milne na paayeN

na baadal ghireNge na barsaat hogii

chiraaGoN ko aaNkhoN meN mahfuuz rakhnaa

baDii duur tak raat hii raat hogii

azal taa abd tak safar hii safar hai

kahiiN subah hogii kahiiN raat hogii