IK taaza hikaayat hai

Sun lo tau inaayat hai

Ik shakhs ko dekha tha

Taaron ki tarah hum NE

Ik Shakhs ko chaha tha

Apno ki tarah hum NE

I shakhs ko samjha tha

Phoolon ki tarah hum NE

.

Who shakhs qayamat tha

Kiya uski karain baatein

Din us k liye paida

Aur uski hi theen raatein

Kam milna kissi se tha

Hum se theen mulaqatein

.

Rang uska shahaabi tha

Zulfon mein theen mekaarein

Aankhain theen k jaadu tha

Palkain theen k talwaarein

Dushman bhi agar dekhain

So jaan se dil haarein

Kuch tum se who milta tha

Baaton mein shabaahat mein

Haam tum as hi lagta tha

Shokhi mein sharaarat mein

Lagta bhi tum hi as tha

Dastoor-E-Muhabbat mein

.

Who shakhs humain I din

Apno ki tarah bhoola

Taaron ki tarah dooba

Phoolon ki tarah toota

Phir haath na aaya who

Hum NE tau buhat dhoonda

Tum kiss liye chonkay ho?

Kab zikr tumhara hai?

Kab tum se taqaaza hai?

Kab tum se shikaayat hai?