Ik na ik shama andheray mein jalaaye rakhiye…

Subah honay ko hai maahol banaaye rakhiye…

Jin ke haathon se humein zakhm-e-nihaan pohanchay hain…

Wo bhi kehtay hain ke zakhmo ko chupaaye rakhiye…

Kaun jaanay wo kis raah guzar se guzray…

Har guzar gaah ko phoolon se sajaaye rakhiye…

Daaman-e-yaar ki zeenat na banay har aansu…

Apni palkon ke liye kuch to bachaaye rakhiye…

‘IK NA IK SHAMA ANDHERAY MEIN JALAAYE RAKHIYE’