‘Hay Jan ki qeemat itni or

Iman ki qeemat itni hay

Bik jay gi ghairat itnay main

Or qaumi hammiat itnay main

In nirkhon per tay pai ga

Arbab-e-Hukomat Ka sauda

Yeh nirkh hain ahl-e-danish kay

Yeh hadya hay maulana ka

Kothay pe siasat ki bai

ik rat ka itna leti hay

gar dashta rakhna chaho to

munh manga paisa leti hay

yeh dam hain jernal kernal kay

or fouj ka bhara itna hay

kuch itna mal jo mil jai

man ka bhi sauda kar lain gay

achay jo dam lagen inkay

behnon ka dhanda kar lain gay’