Hawa Ki Leher Koi Chhoo Ke Mere Yaar Se Aai,

Koi Taza Khabr Yun Bhi Samandr Paar Se Aai,

Labon Se Km or Ankhon Se Boht Krta He Wo Baten,

Balaghat Us Men Ye Pabandi-e-izhar Se Aai,

Wo Is Ki Guftugu, Kalyan Chatakne Ki Sada Jese,

Ye Narmi Us Ke Lehje Men Hamare Pyar Se Aai,

Kashish Rakhta Nahi Ab Phool Mere Wasty Koi,

Ke Mujh Tk Hr Mehek Us Zulf-e-Khushbudar Se Aai,

Yahan He Jo Bhi Yusuf, Khud Zulekhan Ka Gahak He,

Riwayat Ye Naii Kia Jane Kis Bazar Se Aai,

Wo Ek Maghroor Si Larki, Khushi Jis Ka Takhallus He,

Mere Paas Aa Gai Lekin Baray Israr Se Aai,

Andheron Ne ‘Qateel’ Aksr Usi Deewar Se Jhanka,

Utr Kr Dhoop Mere Ghr Men Jis Deewar Se Aai..!!