Hawa kay hathon ki meherbaani se dar gaaye hain

Yeh phool khushboo ki raye gain se dar gaaye hain

Humein bhi rukhsat ki rasam kuch tu nibahna thi

Tumhaari aankhon mein aaye paani se dar gaaye hain

Yeh teer jitney fizaa main aakar thair gaaye hain

Kisi parinday ki bay zubaani se dar gaaye hain

Inhein bhi dariya main apni kashti utarna thi

Jo log lehron ki sar giraani se dar gaaye hain

Yeh hum jo sheher-ewafa main gumsum kharay hue hain

Phir ik taaza ghalat bayani se dar gaaye hain

Abhi tu dil ko udaas karti nahiin hain shaamein

Abhi se kyun ghum ki hukumraani se dar gaaye hain

Humein bhi saahil pe geet likhna the seepiyon se

Magar hawaon ki meherbaaniyon se dar gaaye hain