hanstey huye aankhon mai kyun aa jatey hain ye aansu

yun khushi ko adhura sa bana jatey hain ye aansu

dard itna saha khali ho gaya samander ashkon ka

jane kahan se aankhon mai aa jatey hai ye aansu

khush hoon main koi shikwa zamane se na takdeer se

meri is baat ko jhootha kyun bana jatey hain ye aansu

shayad khabar hai inko bhi kis kadar tanha hoon main

tanhai mai mera saath nibha jatey hain ye aansu..