ham hain mataa’-kuucha-o-baazaar kii tarah

uThtii hai har nigaah Khariidaar kii tarah

is kuu-e-tishnagii meN bohat hai ki ek jaam

haath aa gayaa hai daulat-e-bedaar kii tarah

dil to kahiin hai magar dil ke aaspaas

phirtii hai koi shai nigah-e-yaar kii tarah

siidhii hai raah-e-shauq par yuun hi kahiin kahiin

Kham ho gaii hai gesuu-e-dildaar kii tarah