HABIB JALIB

Khuda tumhara nahi hai khuda hamara hai

Use zamin pe yeh zulm kab gawara hai

Lahoo piyoge kahan tak hamara dhanwano

Badhao apni dukan seem-o zar ke deewano

Nishan kahin na rahega tumhara shaitano

Hamein yaqeen hai ke insaan usko pyara hai

Khuda tumhara nahin hai khuda hamara hai

Use zameen pe yeh zulm kab gaawara hai

Nai shaoor ki hai roshni nigahon mein

Ek aag si bhi hai ab apni sard aahon mein

Khilenge phool nazar ke sahar ki bahon mein

Dukhe dilon ko isi aas ka sahara hai

Khuda tumhara nahin hai khuda hamara hai

Use zameen pe yeh zulm kab gawara hai

Tilism-e sayah-e khauf-o hiras todenge

Qadam bandhayenge zanjeere-e yaas todenge

Kabhi kisi ke na ham dil ki aas todenge

Rahega yaad jo ehd-e sitam guzara hai

Use zamin pe yeh zulm kab gawara hai