guzray hain tere bad bhi kuch log idher se

lakin tere khushbo na gae rahguzer se

kion dobti bhujti hue ankhon main hai roshan

raton ko shikayat hai to itne hai sehar se

kia thaan ke nikla tha kahan aa ke para hai

pooche to koi is dil e sherminda safar se

aya hai bohat dair main wo shaks per is ko

juzbaat ki is bheer main maain dekhon kidher se

din the keh hamain sheher e badub tak ki khaber thi

or ab nahi aaghah tere khair khaber se

amjed na qadam rok ke wo door ki manzil

nikle gi kise roz ise gard e safar se