Gham-e-ashiqi se keh do raah-e-aam tak na puhanche,

Mujhe khof hai ye tuhmat mere naam tak na puhanche.

Me nazar se pi raha tha to ye dil ne bad dua di,

Tera hath zindagi bhar kabhi jaam tak na puhanche.

Jo naqaab-e-rukh utha di to ye qaid b laga di,

Uthay her nigah lekin koi baam tak na puhanche.

Ye adaa-e-beniazi tujhe bewafa mubarak,

Magar aisi be rukhi kia k salam tak na puhanche.