Garmi-e-hSrat-e naKaam Se jal jate hen.

Hm chiraghon Ki trha Sham se jal jate hen-

Bach nikalte haen agr

Atish-e-sayal se ham.

Shola-e-atish-e gulfaam se jal jate hen-

Khud numai tou nahi

Shewa-e-arbab-e wafa.

Jin ko jalna ho wo araam se jal jate hen-

Shama jis aag mein jalti he numaish k liye

Ham usi aag mein gum’nam se jal jate hen-

Jab bhi aata hae mera naam,

Tere naam k sath.

Jane Q log mere naam se jal jate hen-

Rabt-e-baham pe hamen kya na kahen ge dushman.

Aashna jab tere pegham se jal jate hen.