faslay aise bhi hongay yeh kabhi socha na tha saamne betha tha mere aur woh mera na tha woh k khusboo ki tarhan phela tha mere chaar suu mein usay mehsoos kar sakta tha chu sakta na tha raat bhar pichli si ahat kaan mein ati rahi jhank ker dekha gali mein koi bhi aya na tha aj usne dard bhi apne alehda kar liye aj mein rooya tou mere sath woh rooya na tha yeh sabhi veeraniyan uskay juda hone say thi aankh dhundlai hui thi shehr dhundlaya na tha yaad kar kay aur bhi takleef hoti thi adeem jane k siwa ab koi bhi chaara na tha.