Fankaar hy to Haath pe Sooraj Saja k laa,,

Bujhta hua Diyya Muqaabil Hawa k laa,.,

Darya ka Inteqaam Dabbo de na Ghar Tera,,

Saahil se Roz Roz na kankar Utha k laa,.,

Thori si Aur Mouj Mein aa

‘Ay Hawa-e-Gul’,,

Thori si Us k Jism ki khushbo Chura k laa,.,

Garr dekhna hy Ehl-e-MASHIYAT ka Hosla,,

Maidaan se Ghar mein ik Maiyyat Utha k laa,.,

‘KHAN’ab Uska Naam hy Sab ki Zuban par,,

Kis ne kaha tha Usko Ghazal mein Saja k laa.