ek taviil bosay meN…kaisii pyaas pinhaaN hai?

tishnagii ki saari ret…ungliyoN se girtii hai!

mere tere pairoN ke ek lams se

kaise–ek nadii sii bahtii hai!

kyuuN ummiid kii kishtii merii–terii aaNkhoN se

Duub kar ubhartii hai?

roz apne saahil se ek naye samandar tak

jaa ke lauT aatii hai!

mere tere haathoN kii aag se jal uThay haiN

qumqume se kamre meN!

is nayii divaalii kii aartii utaareNge!

aane vaalii rutoN ke—phuul, qahqahe, aansuu