Ek Shayar Hon, Masawwir Hon, Funkaar Bhi Hon,

Gar Hoon Nazuk Sa Phool To Talwar Bhi Hon,

MeNe Boi Hai Har Ek Morr Pey Nafrat Lekin,

Main Mohabat K Gulistan Ka Kharidaar Bhi Hon,

Main Wo Ghancha Hon Jisey Dekhney Se Tasken Miley

Sab Ki Ankhon Mein Chubhey Jo, Main Wo Khaar Bhi Hon

Ho Agar Dost Ghalat To Main Usey Rokta Hon

Haq Pey Dushman Ho To Dushman Ka Taraf-Daar Bhi Hon

Jurm Har Shakhs Se Be-Lous Mohabat Hai Agar

Phir To Ye Sach Hai Ke Main Khata-Kaar Bhi Hon

Main Wo Ghaafil Hoon Jisey Umar Ka Ehsaas Nhi

Ek Ek Pal Ki Khabar Rakhta Hoon Be-Daar Bhi Hon

Itna Aazaad, K Aakaash Ko Chhu Sakta Hon

Ek Chhoti Si Tamanna Mein Giraftaar Bhi Hon,

Mera Andaaz-E-Tabiyat Bhi Niraalla Hai

Be-Wafa Bhi Hoon Aur Wafa-Daar Bhi Hon…!!!