ek nayaa moD dete hue phir fasaana badal dijiye

yaa to khud hi badal jaaiye ya zamaana badal dijiye

tar nivaale khushaamad ke jo khaa rahe haiN vo mat khaaiye

aap Shaheen ban jaayenge aab-o-daana badal dijiye

ahl-e-himmat ne har daur meN koh kaaTe haiN taqdiir ke

har taraf raaste band haiN, ye bahaana badal dijiye

tai kiyaa hai jo taqdiir ne har jagah saamne aayega

kitnii hii hijrateN kiijiye ya Thikaana badal dijiye

hamko paala thaa jis peD ne uske patte hii dushman hue

kah rahii haiN DaaliyaaN, aashiyaana badal dijiye