ek kiran meher ki zulmaat pe bhaarii hogii

raat unkii hai magar sub’h hamaari hogii

is nisbat se seher nikhri hu’ii aayegii

jis qasar raat yeh biimaar pe bhaari hogii

yeh jo milti hai tere Gham se Gham-e-dahar ki shakl

dil ne tasviir se tasviir utaarii hogii

is taraf bhii koii Khushbuu se mehekta jhoNkaa

aye sabaa tuune to voh zulf saNvaarii hogii

ham-safiiraan-e-chaman aao pukaareN mil kar

yahiiN Khwaabiida kahiiN baad-e-bahaari hogi

buu-e-gul aatii hai miTTii se chaman ki jab tak

ham pe dahshat na Khizaan ki kabhii tarii hogii