ek khawabo ka mahel humne bhi sajaya tha

ek chota sa ghar humne bhi banaya tha

aangan mein do kaliya sundar bhaag ko mehkayegi

yahi soch kar humne phoolo ko khilaya tha

chand sitaro si roshni ki khawahish mein

humne khud ko shama ki tarha jalaya tha

chote chote armaa the nayi nayi umaange thi

kya kya soch kar mein es basti mein

aaya tha

bas mukammal hi hua tha sapna mera

aur tabhi na jaane kaha se ek tufaan

aaya tha

ek pal mein kaise dekho aashiya ujda

jis ko kishto mein kamsin ne baade pyar

se basaya tha

~**~**~