dukh dard ki saugat hai dunya teri kya hai

ashkon se bhari rat hai dunya teri kya hai

kuch log yahan nur-e-sahar dhundh rahe hain

tarik si ik rat hai dunya teri kya hai

paband-e-mashiyat hai tanaffus bhi nazar bhi

ik jazya-e-lamhat hai dunya teri kya hai

taqdir k chehre ki shikan dekh raha hun

aina-e-halat hai dunya teri kya hai

majruh-e-taqaddus hai taqaddus ki haqiqat

rudad-e-kharabat hai dunya teri kya hai

‘Sagar’ mein chalkate hain samawat k israr

saqi ki karamt hai dunya teri kya hai.