Din dhal chuka tha or parinda safar main tha

sara laho badan ka rawan misht-e-par main tha

had-e-ufaq pay sham the khaimay main muntazir

ansoo ka ik pahar sa hayal nazar main tha

jatay kahan k raat ki bahain then mushta’il

chuptay kahan k sara jahan apnay ghar main tha

lo wo bhi narm rait kay teelay main dhal gaya

kal tak jo aik koh-e-giran rahguzar main tha

utra tha wahshi chiriyon ka lashkar zameen per

phir ik bhi sabz paat no saray nagar main tha

pagal si ik sada kisi ujray makan main the

khirki main ik chiragh bhari dupehar main tha