dil ke sun_saan jaziiro.n kii Khabar laayegaa

dard pahaluu se judaa ho ke kahaa.N jaayegaa

kaun hotaa hai kisii kaa shab-e-tanha_ii me.n

Gam-e-furqat hii Gam-e-ishq ko bahalaayegaa

chaa.Nd ke pahaluu me.n dam saadh ke rotii hai kiran

aaj taaro.n kaa fusuu.N Khaak nazar aayegaa

raakh me.n aag dabii hai Gam-e-maharuumii kii

raakh ho kar bhii ye sholaa hame.n sulagaayegaa

vaqt Khaamosh hai ruuThe hue yaaro.n kii tarah

kaun lau dete hue zaKhmo.n ko sahalaayegaa

dhuup ko dekh ke us jism pe pa.Datii hai jhamak

chhao.n dekhe.nge to us zulf kaa dhyaan aayegaa

zindagii chal ki zaraa maut kaa dam_Kham dekhe.n

varnaa ye jazbaa lahad tak hame.n le jaayegaa