DhaL gia aaftab ‘SAQI’,

La piLa dy sharab ‘SAQI’,

Ya surahi Laga merey monh se,

Ya uLta dy naqaab ‘SAQI’,

Mekda chorr kr kahan jaoon,

Hai zamana kharab ‘SAQI’,

Jaam bhar dy gunah garon k,

Ye bhi hai ik sawab ‘SAQI’,

Aaj peeny dy aur peeny dy,

KaL karein gy hisaab ‘SAQI”