dekh kar us hasiin paikar ko

nashaa-saa aa gayaa samandar ko

Dolatii Dag_magaatii-sii naav

pii ga_ii aa ke saare saagar ko

Khushk pe.Do.n me.n jaan pa.Dane lagii

dekh kar ruup ke samandar ko

bahar pyaase kii justajuu me.n hai

hai sadaf kii talaash gauhar ko

ko_ii to niim_vaa dariicho.n se

dekhe us rat_jage ke manzar k0

ek devii hai muntazir ‘faariG’

vaa kiye paT sajaaye mandr ko