daur-e-hayaat aayegaa qaatil qazaa ke baad

hai ibtidaa hamaari terii intehaa ke baad

jiinaa voh kyaa ki dil meN na ho koii aarzuu

baaqii hai maut hii dil-e-be-mudda’a ke baad

tujh se muqaable kii kise taab hai valey

meraa lahuu bhii khuub hai terii hinaa ke baad

lazzat hanoz maaida-e-ishq meN nahiiN

aataa hai lutf-e-jurm-e-tamanna, sazaa ke baad

qatl-e-Husain asl meN marg-e-Yaziid hai

Islaam zinda hotaa hai har karbala ke baad