‘DAIKHO TO SAHI’

kitnay din beet gayay hain daikho to sahi

kitnay chiragh bujh gayay hain daikho to sahi

mausam bahar ka phr tanha guzar gaya

khizaan ek bar phr agayee hai daiho to sahi

kitni chahat say likhti thi mai naam tumhara

wo qalam hi tordia hai zara daikho to sahi

itni asaani say to milti nahi nafrat bhi laykin

tumnay hasil shuda piyar thukradia daikho to sahi

anchal mai apnay chupayay thay moti bohat

ab k zabt tutnay say saylab ravan hai daikho to sahi

ana rokti hai mujhay har bar jhuknay say magar

kitni bar tumnay jhukaya hai daikho to sahi

faqeer ban kar teray kuchay mai akar ‘sadaf’,

kitni aas say daikhtay hain tumhain daikho to sahi

Shahzad Rajput

Mobile: 03337220822

E_mail:

mshahzadrajput@yahoo.com

mshahzadrajput@hotmail.com