dab-daba aayi wo ankhen jo mera naam aaya

ishq nakaam sahi phit bhi bahot kaam aaya

lazat-e-marG-e-mohabbat koi us se puchhe

jisake lab par dam-e-aakhir bhi tera naam aaya

zindagi tere tasavur se alag rah na saki

nagmaa koi ho magar saaz yahi kaam aaya

ham pe aisi bhi gam-e-ishq men raaten guzarin

jab tak ansuu na bahe, dil ko na aaram aaya