Chiragh dasht k zinda jala gaya mujh ko

Ye dard sham k lamhon mein kha gaya mujh ko

Humen to phool ki khushbu pe neend aati thi

Na jane wo khak pe kaise sula gaya mujh ko

Yahan to waqt ki ankhon se khoon tapakta hy

Ye maizban kahan pr bitha gaya mujh ko

Us k hijab ko chu kr hawayen aati hain

Yehi khayal to pathar bana gaya mujh ko

Humare zabt ki duniya misal deti thi

Nikal k aankh se aansu rula gaya mujh ko..