Chhupakar na rakh sakoge dil ke jazbaat sanam,

ke hoton par na aaye to nazrein suna dengi.

Tumhe pyar hai humse raaz ki baat hai magar,

jitna chhupana chaho palkein suna dengi.

Saawan ke mausam mein jo baat tum na keh paaye,

hawa sang lehrati zulfein suna dengi.

Kehkasha lagakar hans diye na dekh paaye dil ke zakhm,

rone ke aalam mein magar hanske suna dengi.