Chehray Parta Rehta Hoon Ankhain Likhta Rehta Hoon

Main Bhi Yeh Kaisi Batain Likhta Rehta Hoon?

Saray Jism Darakhtoon Jaisat Laghtay Hain

Aur Bahoon Koo Shakhain Likhta Rehta Hoon

Tuj Ko Khat Likhnay Key Tavar Bhool Ghay

Ari Tirchhi Lakeerain Likhta Rehta Hoon

Teray Hijr Main Aur Mujay Kia Karna Hai

Teray Naam Kitabain Likhta Rehta Hoon

Teray Zulf Ke Saay Dhiaan Main Rehtay Hain

Main Suboo Ko Shamain Likhta Rehta Hoon

Tuj Se Mil Kar Saray Dukh Duhraoon Gha

Main Hijr Ki Saree Batain Likhta Rehta Hoon

Sookhay Phool, Kitabain, Zakhm Judaee Kay

Teri Sub Soghatain Likhta Rehta Hoon

Us Ki Bheegi Palkain Hanstee Rehtee Hain

Mohsan Jub Tuk Ghazlain Likhta Rehta Hoon