Chehray parhta, aankhain likhta rehta hoon

Main bhi kesi baatain likhta rehta hoon?

Saaray jisam darkakhton jesey lagtay hain

Aur baahon ko shaakhain likhta rehta hoon

Tujh ko khat likhnay k taiwar bhool gaye

Aari tirchi saatrain likhta rehta hooon

Terey hijar main aur mujhey kia karma hay?

Terey naam ki kitaabain likhta rehta hoon

Teri zulf k saaaye dhiyan main rehtay hain

Main subhon ko shaaamin likhta rehta hoon

Apnay piyar k phool mehakti raahon main

Logon ki deewarain likhta rehta hoon

Tujh say mil kar saaaray dukh dohraonga

Hijar ki saari baatain likhta rehta hoon

Sookhay phool, kitabain, zakhm judai k

Teri sab soghaatain likhta rehta hoon

Us ki bheegi palkain hansti rehti hain

Mohsin jub tak ghazlain likhta rehta hoon