Chashm-e-Saaqi ne ye kya khel racha rakha hai,

koi ‘zahid’ koi ‘madhosh’ bana rakha hai,

Jo phansa phir na kabhi usny rehai mangi,

Teri zulfon ne ajab jal biccha rakha hai,

Husn ho, ishq ho,

dono ka asar yaksan hai,

Cheez hai ek mgar naam juda rakha hai,.

Rukh pe lehraati haiñ kabhi, shaanoñ se ulajh parti haiñ,

Tu ne zulfon ko bohat sar pe charha rakha hai,.

Teri makhmour nigahon se hai ronaq sari,

warna ‘SAQI’ tere maikhaney mñ kya rakha hai…