chashm-e-mayagun zara idhar kar de

dast-e-kudrat ko be-asar kar de

tez hai aj dard-e-dil saqi

talkhi-e-may ko tez-tar kar de

josh-e-wahshat hai tishnakam abhi

chak-e-daman ko tazgar kar de

meri qismat se khelne wale

mujh ko qismat se bekhabar kar de

lut rahi hai meri mata-e-niyaz

kash! wo is taraf nazar kar de

‘Faiz’ takmil-e-arzu malum

ho sake to yun hi ba asar kar de