*. .Chalo kuch Dair hansty hain

Muhabt Per

inayat Per.

K Be-Bunyad Batien hain Sbhi Rishty.

Sbhi Naatay

Zarorat ki hain Eejadain.

Kahin koi Nhi Mrta

Kisi k Wasty JaNaan

K Sb hy Phhair lafzooN ka.

Hay Sara khhel Harfoon ka

Na hy MehbooB koi bhi

Sabhi Jumly Sy kasty Hain.

‘Chalo kuch Dair

Hansty hain’

Usi ko Yad krty hain

JisY Hm Zeest kehty hain

K lena Saans Bin jis k Hamien ik jurm Lgta tha

K Sang Jis k hr ik lamha

khush-o-khurram

Guzrta tha

JisY hm zindgi Kehty

JisY hm Shayeri Kehty

Ghazal ka Qaafia tha jo , Tha jo Unwaan Nazmoon ka

Wo lehja jb badlta tha , Qayamat khez Lgta tha

Waqt Sy Aagay Chalta tha , Bala ka Taiz Lgta tha

Jo Saya Ban k Rehta tha , Juda Ab Us k Rstay haiN

Chalo Kuch Dair

Rotay HaiN

Chalo kuch Dair

Hansty hain. .*