Chalo kuch dair hanstey hain

Mohabbat per inayat per,

K be bunyad batain hain,

Sabhi rishtay sabhi naatey,

Zarurat ki hain Ejaaden,

… Kahin koi nahi marta kisi k wastay jaana,

K sub hai phair lafzon ka,

Hai saara khel harfon ka,

Na hai mehbob koi bhi,

Mohabbat na zmaney main,

Pra’ey bhi hain phir apney,

Agr hai kuch khzaney main,

K is jazbay pay ab aksar sabhi jumlay say kastay hain,

Chalo kuch dair hanstay hain…

Usi ko yad krtay hain,

Jisay hum zeest kehtey thay,

K lena saans bin jis k hamain ek jurm lagta tha,

K sung jis k her ek lamha khush-o-khurm lagta tha,

Jisay hum zindgi kehtey,

Jisay thay sha’iry kehtey,

Ghazal ka Qafiya tha jo,

Nazm ka jo k unwan tha,

Wo lehja jb bdalta tha qyamat khez lagta tha,

Waqt say agay chalta tha,

Bla ka tez lagta tha,

Jo saya bun k rahta tha,

Juda ab is k rastay hain….

Chalo kuch dair hanstay hain..

Chalo kuch dair hanstay hain…